‘Koi Paise Nahi Liye’: Momina Iqbal Ka Saqib Chaudhry Ke Deal Ke Daawon Par Bara Inkishaaf

Maroof adakara Momina Iqbal ne Saqib Chadhar ke paise lene ke daawon ko rad kar diya hai. Unhon ne wazahat ki ke hukoomat ke ahem logon ki taraf se sulah ki koshishain ki gayin, lekin koi mali deal nahi hui. Momina ne sirf Saqib ka Sab ke samne maafi mangne ka mutalaba kiya.
‘Umar Ka Bara Farq’: Imran Ashraf Aur Zoha Tauqeer Ki Jodi Par Fans Ki Tanqeed

Maroof adakar Imran Ashraf aur Zoha Tauqeer GEO TV ke naye drama ‘Jang E Ishq’ mein pehli baar aik sath nazar aayenge. Is jodi par social media par kafi tanqeed ho rahi hai. Fans ka kehna hai ke dono ke darmiyaan umar ka baara farq hai aur yeh pairing ajeeb lag rahi hai.
‘Maghfirat Ki Kisi Ko Parwah Nahi’: Minal Khan Ka Social Media Par islami Paigham Viral

Maroof adakara Minal Khan ne social media par ek religious islami paigham share kiya hai. Unhon ne kaha ke rizq ka waada hone ke bawajood log pareshan hain, jabke maghfirat ka koi waada nahi lekin kisi ko is ki parwah nahi. Unka yeh paigham fans ke dilo ko chhu raha hai.
‘Naye Sitaare Ki Dhoom’: Dramas Mein Behtareen Performance Ke Baad Fans Ka Usman Javed Ko Main Role Dene Ka Mutaalba

Ubharte hue adakar Usman Javed ne ‘Tann Mann Neel O Neel’ aur ‘Zanjeerein’ mein apni damdaar adakari se madahon ke dil jeet liye hain. Fans un ki behtareen acting ki tareef kar rahe hain aur unhein aane wale dramas mein mukhya kirdaron mein dekhne ka mutalaba kar rahe hain.
‘Australia Mein Harassment Case Kiya’: Saqib Chaudhry Ke Momina Iqbal Ki Behan Par Sangeen Ilzamat

MPA Saqib Chadhar ne adakara Momina Iqbal ki behan Rimsha Iqbal par ilzamat lagaye hain. Un ke mutabiq unhon ne Rimsha ko Australia bhejne mein madad ki, jahan unhon ne un ke dost par harassment ka case karke 165,000 dollars compensation hasil ki. Yeh bayan social media par kaafi zyada discuss ho raha hai.
’11 Saal Ka Farq Bilkul Theek Hai’: Iqra Aziz Ka Yasir Hussain Ke Sath Shadi Aur Umar Ke Farq Par Bayan

Maroof adakara Iqra Aziz ne apni shadi shuda zindagi aur shohar Yasir Hussain ke sath umar ke farq par baat ki hai. Unhon ne bataya ke un ke aur Yasir ke darmiyan 11 saal ka farq bilkul theek hai aur shadi un ke liye naimat sabit hui hai, jis par wo khud ko khush qismat samajhti hain.
‘Naya Drama Hurmat’: Dananeer Mobeen Aur Shahveer Jafri Ke Aane Wale Drame Ka Teaser Jari

Maroof adakara Dananeer Mobeen Hum TV ke naye drama series ‘Hurmat’ mein nazar aayengi. Is drama ki kahani aik zaheen larki Hurmat ke gird ghoomti hai, jo aala taleem ke liye shehar aati hai aur Shahveer Jafri ke se muhabbat mein mubtala ho jati hai. Fans is storyline par bohot pur-josh hain.
’20 Crore Ka Mutaalba Kiya’: Saqib Chadhar Ka Momina Iqbal Aur Un Ki Behan Par Legal Battle Mein Bara Daawa

MPA Saqib Chadhar ne adakara Momina Iqbal aur un ki behan ke khilaaf mazeed inkishafat kiye hain. Unhon ne daawa kiya ke Momina ne un se 20 crore rupaye ka mutalaba kiya aur wo un ki doosri biwi banna chahti thi. Unhon ne legal battle aur munsalik saboot hone ka bhi daawa kiya.
‘Case Jeet Bhi Jaun To Izzat Wapas Nahi Aani’: Faryal Gohar Ke Ilzamat Par Jamal Shah Ka Bara Bayan

Maroof adakar Jamal Shah ne apni sabqa biwi Faryal Gohar ke gharelu tashaddud ke ilzamat par wazahat pesh ki hai. Unhon ne defamation case na karne ki wajah batate hue kaha ke court case jeet kar paise to mil sakte hain, lekin gayi hui izzat wapis nahi aati. Unhon ne pregnancy ke nuqsan par bhi baat ki.
‘Log Confusion Ka Shikaar Ho Jaate’: Bushra Ansari Ne Divorce Ke Baad Surname Na Badalne Ki Wajah Bata Di

Maroof adakara Bushra Ansari ne khula ke baad bhi apna surname ‘Ansari’ na badalne ki wajah batadi. Unhon ne bataya ke unka naam Bushra Bashir hai, lekin surname badalne se logo me confusion paida hogi. Unhon ne kaha ke unki betiyan bhi Ansari hain aur is se kisi ko aitraz nahi hona chahiye.