Kashif Khan Ka Betiyon Ki Shadi Par Kam Kharch Karne Ka Mashwara!

Rabeeca Khan ke waalid aur maroof actor Kashif Khan ne walidain ko naseehat ki hai ke shadi par paisa soch samajh kar kharch karein. Unhone kaha ke mehnge joron ke bajaye kiraye ke kapre aur artificial jewelry behtar hai. Unka mazeed kehna tha ke ‘Shendi’ jaise events se waqt aur paisa dono bachtay hain aur fazool tahaif dene se guraiz karna chahiye.
Alizeh Shah Ka Qasam Kha Kar Pl@stic S*urgery Se Inkaar

Alizeh Shah ne apni badli hui look par plastic surgery ki afwahon ko jhoot qarar de diya. Unhone apni Maa ki qasam khate hue kaha ke unhone koi surgery nahi karwayi, balkay depression ki wajah se do mahine mein 20 kilo wazan kam kiya hai. Unhone un pages ko bhi khari khari sunayi jo views ke liye un par ilzaam laga rahe hain
Islamic Scholars Ka Javeria Saud Ki Ramadan Transmission Par Shadeed Tanqeed

Javeria Saud ke show mein “Wazifa calls” ke doran logon ka mazaq urane par Islamic scholars ne shadeed gussay ka izhaar kiya hai. Nadia Khan ke show mein ek scholar ne kaha ke “kharish” jaise masail par live show mein hansna aur bad-tameezi karna ghalat hai. Unhone tanqeed ki ke ratings ke liye Ramadan transmission ka taqaddus pamal na kiya jaye.
“Bullah” Ke Director Ne Bataya Ke Saathi Adakar Shaan Shahid Ko Nishana Kyun Banate Hain

Film “Bullah” ke director Shoaib Khan ne Shaan Shahid par honay wali tanqeed ka jawab de diya. Unhon ne kaha ke Shaan ke sath kaam karna aik khawab jaisa hai aur un par ilzaam lagane wale adakar shayad khud “Insecure” thay. Director ne un afwahon ko jhoota qarar de diya ke Shaan shooting ke doran mudakhlat karte hain.
Shiraz Aur Muskan Ka Shan-E-Ramazan Se Ankhon Mein Ansu Liye Alvida

“Shan-e-Ramazan” se rukhsat hote hue jazbati ho gaye. Waseem Badami ke show mein kai din bitane ke baad, Shiraz aur Muskan apni team se bicharte hue rone lage. Ahmed Shah aur Abubakr Shah ne bhi unhein pur-nam ankhon se alvida kaha. Dono bache ab apni Eid apne gaon mein manayenge.
Eid Ul Fitr 2026 Par Cinema Aur Tv Par Release Hone Wali Pakistani Filmein Kaun Si Hein?

Eid Ul Fitr 2026 par Pakistani film industry ka dhamaka! Fahad Mustafa aur Mahira Khan ki action-comedy “Aag Lagay Basti Mein,” Shaan Shahid ki “Bullah,” aur “Delhi Gate” cinemas ki ronaq barhaengi. Mazeed ye ke “The Legend Of Maula Jatt,” “Neelofar,” aur “Love Guru” jaisi bari filmon ke World TV Premieres fans ko ghar baithe bharpoor entertainment farham karenge.
Iddat Khatam Hotay Hi Faysal Quraishi Aur Sana Faysal Ka Nikah, Dilchasp Haqeeqat Samne Aa Gayi

Faysal Quraishi aur Sana Faysal ki shadi se mutalliq herat angaiz inkishaaf samne aa gaya. Sana Faysal ne bataya ke Faysal ne unhein un ki pehli divorce se pehle hi pasand kar liya tha. Iddat khatam hote hi agle din dono ka Nikkah ho gaya tha. Aaj ye jori do bacho ke sath aik khush-haal zindagi guzar rahi hai.
Rabia Anum Ki Shohar Ke Saath Shirkat Ne Age Difference Ki Behas Chher Di

Rabia Anum ki apne shohar Obaid Rehman ke sath Ramazan transmission mein shirkat ne social media par A*ge Debate chher di hai. BTS clips aur photoshoots viral hone ke baad users ka kehna hai ke unke shohar unse umar mein chote dikhte hain, jabkay kuch fans ne is tanqeed ko fazool qaraar dete hue jori ke liye duaon ki darkhwast ki hai.
Kya Jannat Mirza Jald Shadi Karne Wali Hain? Fans Ki Excitement Par TikTok Star Ka Dilchasp Hint

Pakistan ki top TikTok star Jannat Mirza ne apni shadi ki khabron par khamoshi tor di. Fans ke “Shadi Kab Krogi?” sawal par Jannat ne jawab diya ke “Bas ab krleni hai tum logon ki excitement ki khatir.” Is hint ke baad social media par unki shadi ke charche urooj par hain aur fans dulha janne ke liye be-taab hain.
“Ye Bewaqoof Bachi Hai Jo Apne Apko, Apne Ghar Ko Barbad Kar Rahi Hai”: Rajab Butt Ki Walda

Rajab Butt ki walda ka apni bahu Eman Rajab ke liye viral voice note samne aa gaya. Unhon ne Eman ko “bewaqoof bachi” kehte hue ghar barbad karne ka zimmedar thehraya. Unhon ne zor diya ke bacha aur shadi pehli tarjeeh honi chahiye aur wo har mushkil mein sath dein gi, aur demand ki ke Eman separation ke bajaye sulah kare.