“Mera Lyari” Ki Promotions Par Dananeer Mobeen Ka Style Viral

Adakaara Dananeer Mobeen apni film “Mera Lyari” ki promotions ke liye UK pahonch gayi hain, jahan unke anokhay dress par behas shuru ho gayi hai. Unhon ne balloon pants aur football theme corset pehna tha, jis par social media sarifeen ne unke wazan aur style par tanqeed ki. Kuch logon ne unka mawazna Ramsha Khan se bhi kiya hai.

Kya Aashir Wajahat, Aryan Khan Jaise Dikhte Hain?

Social Media Par Aashir Wajahat Aur Shah Rukh Khan Ke Bete Aryan Khan Ke Darmiyan Shakal Milnay Par Behas Chhid Gayi Hai. Fans Donon Ke Andaz Aur Tasveeron Ka Mawazna Kar Rahe Hain. Kuch Log Is Smiliarity Se Ittefaq Karte Hain Jabke Kuch Ka Kehna Hai Ke Donon Bilkul Mukhtalif Dikhte Hain.

Durefishan Saleem Par ‘Unprofessionalism’ Ka Ilzaam: Erum Akhtar Ke Sakht Tewar!

Senior Adakaara Erum Akhtar Ne Durefishan Saleem Par “Unprofessional” Hone Ka Ilzaam Lagaya Hai. Unhon Ne Kaha Ke Drama ‘Sanwal Yaar Piya’ Ki Shooting Durefishan Ki Wajah Se Bohat Late Hui, Jis Se Unhein Bohat Nuqsan Hua. Doosri Taraf Production House Aur Director Ne Durefishan Ka Difaa Karte Hue Unhein Professional Qarar Diya Hai.

Aiman Khan Aur Muneeb Butt Ki Skardu Se Khubsurat Tasveerein

Mashhoor couple Aiman Khan Aur Muneeb Butt Apni Betiyon Ke Saath Skardu Mein Chuttiyan Mana Rahe Hain. Muneeb Ne Khubsurat Paharon Mein Khichi Gayi Family Tasveerein Share Kin, Jin Mein Amal Aur Miral Ne Aik Jaisay Gulabi Kapray Pehnay Hue Hain. Fans Is Khubsurat Family Ki Pictures Ko Bohat Pasand Kar Rahe Hain.