
‘Shukar Alhamdulillah Aik Baar Phir Se Main Dadi!’: Asma Abbas Ne Bahu Ki Godh Bharai Ki Rasm Se Pyaari Tasveerein Share Kar Dein
Senior adakara Asma Abbas aik bar phir dadi banne wali hain. Unhon ne apni bahu ki godh bharai ki rasm se dilchasp tasaveer social media par share karten hue apni khushi ka izhar kiya hai. Is moqay par beti Zara Noor Abbas aur bahu ke sath khushgawar lamhat ki tasaveer behad pasand ki ja rahi hain.



