
‘Kharab Editing Ne Scene Tabah Kar Diya’: ‘Zanjeerain’ Ke Key Scene Katne Par Usman Javed Ka Mayoosi Ka Izhaar
Maroof adakar Usman-Javed ne drama ‘Zanjeerain’ mein apne kirdar Torsum-Khan ke aik ahem scene ko editing ke zariye hataye jane par mayoosi ka izhar kiya hai. Unka kehna hai ke is scene ke baghair kirdar ka taaruf aur uski kahani ka ahem pehlu adhoora reh gaya. Social media users ne bhi ghair-maayari editing par drama makers ko tanqeed ka nishana banaya hai.



