Adakara Zoya Nasir ne haal hi mein diye gaye interview mein apne waalid aur legendary writer Nasir Adeeb ke mutanaza bayanaat par baat ki hai. Unhon ne kaha ke unke waalid 87 saal ke hain aur purane daur se talluq rakhte hain, jahan woh baaz auqat haqeeqi logon aur kahani ke kirdaron mein farq bhool jate hain.