Bollywood superstar Salman Khan ne aik bayan mein share kiya hai ke agarchay unka shadi karne ka koi irada nahi hai, magar woh zindagi mein kabhi baap zaroor banna chahte hain. Unke is bayan ne internet par fans ki tawajjoh apni taraf khinch li hai aur log khandaan aur rishton ke hawale se tarah tarah ki guftagu kar rahe hain.