Zara Noor Abbas ne Hasna Mana Hai mein apni zindagi ke sakht gharelu mahol par khul kar baat ki. Unhon ne bataya ke unke waalid aur bhai bohat strict thay aur unhein na law parhne di gayi aur na hi showbiz join karne ki ijazat. Zara ke mutabiq, industry mein aane ki ijazat unhein sirf unke shohar ne di.