Mashhoor YouTube channel Sistrology ki behen Rabia Faisal ab mainstream media mein qadam rakhne ja rahi hain. Rabia jald hi Geo TV ke naye drama ‘Behis’ se apna acting debut karengi. Channel ki janib se unka pehla poster jari karne par behnon aur fans ne khushi ka izhar kiya hai.