Social media sensation se superstar ban’ne wali Dananeer Mobeen ne ‘Sinf-e-Aahan’, ‘Mohabbat Gumshuda Meri’, Aur Meem Se Muhabbat”, Jese dramas se apni acting ko manwa liya. Unki masoomiyat aur shandaar adakari ne unhein har ghar ki pasand bana diya. Hal hi mein unka naya project aur social work mein active hona fans ke darmiyan unki maqbooliyat mein mazeed izafa kar raha hai.