Falak Shabir ne apni biwi aur adakara Sarah Khan ke liye social media par aik fan ke comment ka jawab diya hai. Fan ne likha tha ke Sarah Khan industry ki akeli adakara hain jinhon ne apni haya aur sharafat ko barkarar rakha hai. Falak Shabir ne is tareef par mohabbat bhara rad-e-amal diya.