Sanam Saeed ke naye drama “Kafeel” mein fans ne unka wahi purana teen rangon wala dupatta pehchan liya hai jo unhon ne “Zindagi Gulzar Hai” mein pehna tha. Social media par viewers ne Kashaf ke kirdar ki yaad taza karte hue is dil-chasp ittefaq par herat ka izhaar kiya.