Singer Zoha Waseem ne Alizeh Shah ke sath lafzi jung ki tardeed kar di hai. Unhon ne wazahat ki ke Twitter par Alizeh ko jawab dene wala account fake tha. Zoha ka kehna hai ke unka sirf aik hi official account hai aur wo X (Twitter), Threads ya YouTube par mojood nahi hain.