Waqar Hussain ne bataya ke Qudussi Sahab Ki Bewa ke baad unhein koi naya acting role offer nahi hua. Unka kehna hai ke industry mein makeup artists, khaaskar senior artists, ko producers aur stars ki taraf se zillat ka samna karna parta hai. Aksar stars apna personal makeup artist set par le aate hain aur baqi artists ko ignore kiya jata hai.