Adakar Fazal Hussain ne drama ‘Mitti De Baway’ mein Wahaj Ali ke bachpan ka kirdar nibhane par apne ta’assurat ka izhar kiya hai. Unhon ne bataya ke wo pehle yeh role lene par kafi uljhan ka shikar the kyun ke log muqabla aur tanaqeed shuru kar dete hain, lekin fans se milne wala pyar unexpected tha.