Usman Mukhtar ne drama Pamaal ki kamyabi par apna surprising reaction share kiya hai. Karachi Literature Festival mein baat karte hue unhon ne kaha ke drama acha laga tha, lekin unhein andaza nahi tha ke yeh itna bara hit ban jaye ga. Unke khayal mein sirf Saba Qamar ko pehle se yaqeen tha ke Pamaal audience ko bohat pasand aaye ga.