Model Saheefa Jabbar ne apne naye food business ke liye staff ki hiring par naya tanaza khara kar diya hai. Unhon ne khulay aam kaha ke unhein Punjabi ya Urdu bolne walon par bharosa nahi aur wo sirf “Zuban Ke Pakkay” Pathan helpers chahti hain. Social media par un ke is racist bayan par boycott ki demand shuru ho gayi hai.