Superstar Mahira Khan ne aik bayan mein kaha hai ke woh apni umar ka yeh hissa bohot enjoy kar rahi hain. Unhon ne mazeed bataya ke ab aisa waqt aa raha hai jab unhein heroine ke roles milna band ho jayenge, is liye woh is daur ke har lamhay ko khushi se guzar rahi hain.