Actor Sheheryar Munawar ne drama ‘Dar-e-Nijat’ ke maqbool kirdar ‘Abu Bakr’ ke fictional hone par baat karte hue kaha hai ke yeh kirdar aspirational hai. Unka kehna hai ke TV par baqi cheezein bechne ke bajaye woh mardon mein yeh achi khususiyaat dikhana aur bechna zyada pasand karte hain.