Bollywood ki mashhoor adakara Jacqueline Fernandez jab mashhoor YouTuber Zaid Ali se milin, toh unhon ne mazaqiya andaz mein kaha ke “Main tumhe jaanti hoon, tumhare andar aik aunty ka alter ego chupa hua hai.” Inki yeh mazedaar guftagu social media par fans ke darmiyan khoob pasand ki ja rahi hai.