Sunita Marshall ne show Subh Ka Samaa mein actor Ali Abbas ke saath kaam karne ka tajurba share kiya. Unhon ne Ali Abbas ko ek behtareen actor aur true gentleman qarar diya. Sunita ka kehna tha ke woh aam tor par set par kam baat karti hain, lekin Ali Abbas woh wahid shakhs hain jin se woh lagataar baat karti rehti hain.