Syeda Aliza ne Instagram par aik Q&A session ke doran apne bete Sultan ki custody ke bare mein wazahat ki hai. Unhon ne bataya ke Sultan zyadatar unke sath hi rehta hai, lekin weekend par apni dadi ke ghar jata hai aur kabhi kabhar apne waalid Feroze Khan ke ghar bhi chala jata hai.