Sonya Hussyn ne do saal ki koshish ke baad apne khandan ke sath Umrah ki saadat haasil kar li hai. Unhon ne Khana Kaaba ki ziyarat aur Ghilaf-e-Kaaba ka tohfa milne par apne jazbat ka izhaar kiya. Sonya ka kehna hai ke Allah ne is saal unke liye raste khol diye, jis par wo nihayat shukarguzar hain.