Actor Zahid Ahmed ke “Jahanumi” bayan ne social media par toofan macha diya! Influencers ne un par double standards ka ilzaam lagate hue kaha ke “khud ko behtar samajhna bemari hai.” Zarnab Fatima ne likha, “Ap jannat ka pass baant rahe hain?” Users ne Zahid ko mashwara diya ke doosron ko judge karne se pehle apne girebaan mein dekhein.