Actress Sidra Niazi ne apni shadi se mutalliq ahem inkishaaf kiya. Unhon ne bataya ke unki shadi 18 saal ki umar mein ho gayi thi aur woh khushgawar zindagi guzar rahi hain. Sidra ne kaha ke unki family ne hamesha unka saath diya aur showbiz join karne par kabhi rukaawat nahi bani.