Eik purani video ne social media par dhamaka kar diya hai jismein Bollywood ke Badshah Shah Rukh Khan dastarkhawan par khaane ke faide samjha rahe hain. SRK kehte hain ke bachpan se unhein sikhaya gaya tha ke zameen par pair andar morh kar baith kar khaana chahiye is se aadmi zyada nahi khaata aur sehatmand rehta hai!