Legendary adakara Bushra Ansari ki beti Nariman Ansari ne apne maa baap ke rishtay par baat ki hai. Unhon ne bataya ke halankay unki shadi na chal saki, magar unke waalid Iqbal Ansari ne 80s aur 90s mein Bushra Ansari ke career ka bharpoor sath diya. Unho ne hi Bushra Ansari ko acting aur hosting ki taraf barhaya.