‘Tamasha 5’ se shohrat haasil karne wali jori Samiya Hijab aur Yasir Alam ke naye shoot ne fans ko deewana bana diya. Dono ne aik brand ke liye haseen photoshoot karwaya, jis par fans ne dono ko jaldi shadi karne ke mashware de diye aur rishtay ki duayein mangna shuru kar din.