Sabiqa adakara Komal Aziz Khan ne wazan barhne par phailne wali pregnancy ki afwahon par khul kar jawab diya hai. Instagram ke Q&A session mein aik fan ke sawal ka jawab dete hue unhon ne wazahat ki ke woh shadi se pehle pregnancy par yaqeen nahi rakhtin, sath hi shadi par bhi baat ki.