Hina Chaudhary haal hi mein aik takleef deh surgery se guzri hain aur kai din tak hospital mein zair-e-ilaj rahi hai. Unhon ne bataya ke is mushkil waqt ne unhein sehat aur apnon ki ahmiyat ka ehsas dilaya. Hina ke shohar aur dost Hira Khan ne unka khayal rakha, jabke fans aur adakar unki sehat yaabi ke liye duaen kar rahe hain.