Pakistan ki ubharti hui adakara Sehar Khan Ramzan ke mubarak mahine mein Umrah ada kar rahi hain. Unhon ne Madina ki Masjid-e-Nabwi se apni ibadat ke doran li gayi tasveerain social media par share ki hain. Fans aur followers ne unke roohani safar par khushi aur duaon ka izhar kiya.