Zoya Nasir ne bataya ke unhen Danish Nawaz ne “Hum Tum” mein Sarah Khan wala kirdar offer kiya tha, magar masroofiyat ki wajah se unhon ne “Chaudhry and Sons” ko tarjeeh di. Zoya ne afsos ka izhaar karte hue kaha ke script na parhna aur ghalat project ka intekhab unka aik bura faisla sabit hua.