Sara Omair ne bataya ke comeback ke baad unka muqabla Kareena Kapoor Khan se kiya gaya jis par unhein jealousy ka samna karna pada. Ahmed Ali Butt Podcast mein baat karte hue Sara ne kaha ke yeh comparison fans ne shuru kiya tha aur zyada tanqeed khawateen ki taraf se aayi.