Sajal Aly ne apne lambe baal katwa kar naya “short bob” look apna liya hai, jis par unke madah hairan reh gaye. Sajal ne apni behan Saboor Aly ki pairwi karte hue yeh hairstyle tabdeel kiya. Jahan fans mukhtalif raye de rahe hain, wahin Nadia Afgan aur Amar Khan samait deegar sitaron ne unke is naye style ki tareef ki hai.