Maroof Actress Sajal Ali ne football star Lionel Messi ke liye ek jazbati paigham share kiya hai. Unhon ne kaha ke agarchay Spain ne final jeet liya, lekin tareekh hamesha Messi ka naam dohrati rahe gi. Sajal ne Messi ki shandaar khidmaat par un ka shukriya ada kiya aur unhein football ka asal hukmran qarar diya.