Saba Qamar ne apne khilaaf police uniform pehnay ke ilzaam par daakhil darkhwast ke baad pehli baar reaction diya hai. Actress ne Instagram story par tanzia aur mazaahiya andaaz mein kaha ke aaj kal woh bohat zyada mashhoor ho chuki hain. Yeh maamla social media par viral video ke baad uth khara hua.