Maroof adakar Yasir Hussain ne senior adakara Saba Faisal ki himayat karte hue kaha hai ke woh hamari sab se barri star hain. Unhon ne bataya ke woh har tarah ke kirdar mein fit ho jati hain. Senior sitaron ko social media samajhne mein mushkil hoti hai, isliye unhein bayanat par itni shadeed tanqeed ka nishana nahi banana chahiye.