Adakar Yasir Hussain ne gulukar Asim Azhar ki shaadi ki afwahon par dilchasp tabsara karte hue kaha hai ke unhein logon ke beshumar phone calls aa rahe hain. Yasir ne mazahiya andaaz mein apne dost Asim ko mashwara diya ke sab ko teri shaadi ki bari jaldi hai, main toh kehta hoon kar de Bismillah.