Russia ke Far East Kamchatka coast par 7.4 magnitude ka zalzala record hua. USGS ke mutabiq zalzala 111 km Petropavlovsk se door aur 39.5 km gehrai mein aaya. Pehle tsunami alert diya gaya tha ke 1 meter tak ke waves ho sakti hain, lekin baad mein warning lift kar di gayi. July mein yahan 8.8 magnitude ka zalzala bhi aaya tha.