Adakaara Reema Khan ne social media par larnay walay logon ko mashwara diya hai. Reema ka kehna hai ke har behas jeetna zaroori nahi hota aur khamoshi hi sab se bara jawab hai. Fans ka manna hai ke Reema ne ye naseehat Resham ko di hai jo aaj kal Deedar ke sath lafzi jung mein masroof hain.