Rajab Butt ko aik cricket match ke doran apni jaan bacha kar bhagna parha jab fans ki bari tadad ne security tod kar maidan mein dhawa bol diya. Is hangama ke doran security aur diger khilariyon ne unhein hifazat dene ki koshish ki, lekin internet par is security breach aur fans ke rawayye ki sakht mazammat ki ja rahi hai.