YouTuber Rajab Butt ne City Court incident par vlog share karte hue bataya ke lawyers ka unhein peetnay ka plan ulti taraf chala gaya. Unhon ne kaha ke Allah ne unhein izzat di aur attackers ko public backlash ka samna karna pada. Rajab ne bataya ke FIR darj ho gayi aur government aur legal community ke kai logon ne unka saath diya.