Alizeh Shah ne Yasir Nawaz ko Instagram par aakhri warning dedi hai ke woh unka naam lena band karein, warna woh unke khilaaf defamation ka case file kar dengi. Alizeh ne kaha ke Yasir Nawaz ab tak har talk show aur platform par unka zikr kar rahe hain aur agar yeh silsila jaari raha to woh asal wajahain bhi public kar dengi.