Veteran writer aur actor Muhammad Ahmed ne aik interview mein bataya ke unki pehli telefilm ‘Aurat’ us zamanay ke lihaz se itni bold thi ke PTV ne unhein ban kar diya tha aur likhne se rokh diya tha. Halankay baad mein yeh script NTM par air hui aur behtareen kamyabi mili.