Mawra Hussain ne bataya ke ek viral penguin video ne unki zindagi ka ahem faisla lene mein madad ki. Actress ne kaha ke shehar tabdeel karne par logon ne career khatam honay ka kaha tha, lekin aaj unhein lagta hai ke woh decision unki zindagi ka best faisla tha. Mawra ne followers ko apna raasta khud chun’ne ka paighaam bhi diya.