Javed Akhtar ne Bihar ke CM Nitish Kumar ki taraf se Muslim khatoon doctor ka naqab kheenchne ke waqia par sakht reaction diya. Unhon ne kaha ke woh parday ke mukhalif hain, magar kisi khatoon ke sath bad-sulooki kisi surat qabool nahi. Isay izzat aur waqar ka masla qarar diya.