Pakistani actress aur host Sanam Baloch phir se fans ki tawajjoh ka markaz ban gayi hain. Pakistan aur India dono se fans social media par unki TV par wapsi ka mutalba kar rahe hain. Dastaan, Kankar aur Durr-e-Shehwar jaisay dramas yaad dilate hue fans ne unki acting aur screen presence ko lajawab qarar diya.