Pakistan ne Indian planes ke liye airspace band mein 1 mah ka mazeed izafa kar dia. Ab yeh pabandi 23 October tak barqarar rahegi. 23 April se band airspace ki wajah se Indian airlines ko ab tak ₹35 billion se zyada ka nuqsan ho chuka hai. Yeh ban passenger aur military dono planes par laagu hai.