“Pakistan-Idol” achanak band kar diya gaya hai jis se fans naraz hai. Intizamia ka kehna hai ke mulki halat aur petrol ki kami ki wajah se show mukkamal nahi kiya ja sakta, is liye ab koi finale nahi hoga. Doosri taraf awam is bahane ko manne ko tayyar nahi aur social media par makers ko “paisa khane” par troll kar rahi hai.