Bushra Ansari ne social media par Pakistan aur Bharat ke darmayan aman aur dosti ka paigham share kiya hai. Unka manna hai ke dono mumalik ki aam awaam ke dilon mein aik doosre ke liye koi nafrat nahi hai. Unki is misali guftagu ko fans aur aman pasand sarifeen ki taraf se bohot saraaha ja raha hai.